Xiaomi TV S Pro Mini LED 2026 Series Launch: Xiaomi ne apni nayi TV S Pro Mini LED 2026 series global markets mein launch kar di hai, jisme 55-inch, 65-inch aur 75-inch variants shamil hain. Yeh lineup un users ke liye banayi gayi hai jo ek high-end home theater experience chahte hain, jisme picture clarity, contrast aur smooth motion sab kuch premium ho.
Key Features & Specs of Xiaomi TV:
-
Ye TVs 4K resolution aur QD-Mini LED panel ke saath aate hain.
-
Sabhi variants mein 144 Hz refresh rate diya gaya hai.
-
Peak brightness global variant mein 1,700 nits tak hai.
-
Chinese models mein brightness aur zone count zyada hai: panels 5,200 nits tak ja sakte hain aur local dimming zones bhi high.
-
Global models mein zones 704 tak limited hain.
-
Gaming mode mein refresh rate 288 Hz tak jaya ja sakta hai (Chinese variants mein 330 Hz tak).
-
Display features HDR10+, HLG, Dolby Vision support karte hain.
-
Sound system mein dual 15 W speakers hain, Dolby Atmos aur Harman AudioEFX tuning ke saath.
-
Operating system Google TV hai, aur hardware wise, ye TVs quad-core Cortex A73 processor ke saath aate hain, 3 GB RAM + 32 GB storage setup ke saath.
-
Connectivity: WiFi 6, narrow bezels, low reflection display, aur design jisme colour temperature sensor bhi shamil hai jo ambient light ke hisaab se screen warmth adjust karta hai.

Price & Availability:
-
55-inch model ka price €699 (~ ₹ 77,000 approx).
-
65-inch version ka price €899.
-
75-inch variant ka price €1,099.
-
Chinese variants mein higher specs diye gaye hain, lekin global launch mein kuch compromises kiye gaye hain — for example, brightness zones aur refresh ceilings me differences.
ये भी पढ़े : Airtel 5G Unlimited Scam: क्या सच में है अनलिमिटेड? उपयोगकर्ताओं की शिकायतें और टेस्ट रिपोर्ट
Conclusion:
Xiaomi ki TV S Pro Mini LED 2026 series ek impressive step hai premium TV segment mein compete karne ke liye. Agar aap ek high performance smart TV chahte ho with smooth visuals, HDR support aur advanced display tech ke saath, toh yeh series consider ki ja sakti hai — lekin price segment high-end users ko target karta hai. India mein kab aayegi aur local pricing kya hogi, yeh dekhna ab baaki hai.





